Mohammad Naqi Rizvi Asr

husn aur ishq ko farq-e-nazari kyun kahiye

Mohammad Naqi Rizvi Asr

Allahabad, Uttar pradesh, India

1918
husn aur ishq ko farq-e-nazarī kyuuñ kahiye
mai kī tāsīr ko ik be-ḳhabarī kyuuñ kahiye
har-nafas ziist kā ho jaa.e agar vaqf-e-talāsh
justujū kahiye use dar-badarī kyuuñ kahiye
koh-o-sahrā hī nahīñ arsh kī laatā huuñ ḳhabar
merī parvāz ko be-bāl-o-parī kyuuñ kahiye
kashtiyāñ Duub ke ubhreñ jo kisī tūfāñ meñ
nā-ḳhudāoñ kī use dīda-varī kyuuñ kahiye
bujhte bujhte bhī añdheroñ kī rahe jo dushman
aisī hastī ko charāġh-e-saharī kyuuñ kahiye
jab sulajhtī na ho koshish se bhī uljhī huī baat
phir to hālāt ko aafat se barī kyuuñ kahiye
ek koshish thī jo nākām rahī qismat se
'asr' kuchh kahiye use be-hunarī kyuuñ kahiye
Top Urdushayar.com