Mohammad Naqi Rizvi Asr

na tesha humne dekha hai na ju-e-shir dekhi hai

Mohammad Naqi Rizvi Asr

Allahabad, Uttar pradesh, India

1918
na tesha ham ne dekhā hai na jū-e-shīr dekhī hai
magar haañ kuchh to jazb-e-ishq meñ tāsīr dekhī hai
har ik shai meñ nazar aane lagī hai aap kī sūrat
na jaane kis nazar se aap kī tasvīr dekhī hai
kahāñ se lā.egā vo qais-o-lailā kā bharam ai dil
ye maanā tū ne husn-o-ishq kī tasvīr dekhī hai
palaT jā.egī ḳhud zor-e-qayāmat apnā dikhlā kar
agar barq-e-tapāñ ne hammat-e-ta.amīr dekhī hai
hamārī ḳhāk-e-marqad har taraf gulshan meñ bikhrā do
ki ham ne dil-jaloñ kī ḳhaak meñ iksīr dekhī hai
sitam-dīda nigāheñ kah rahī haiñ vāhima hogā
jo maiñ ne ik shagufta ḳhvāb kī ta.abīr dekhī hai
na jaane āj-kal kyā ho gayā hai 'asr' ko hamdam
guzārish jo bhī hotī hai bahut dil-gīr dekhī hai
Top Urdushayar.com