nigāh-e-lutf se terī kahīñ jo ham milte
hamārī ziist ke shām-o-sahar baham milte
hameñ fareb-e-ḳhirad ne Dubo diyā varna
hamāre jaam se ḳhud aa ke jām-e-jam milte
kisī ke dard pe hañsnā kisī ke ġham meñ ḳhushī
ye lamhe kaash zamāne ko kam se kam milte
na hote ham to zamāne kī āgahī kī qasam
na lauh miltī na tum ko kahīñ qalam milte
sar-e-niyāz kī azmat ke raaz jab khulte
dar-e-butāñ se nishān-e-dar-e-haram milte
tamām-umr gañvā dī talāsh meñ lekin
ḳhudā na miltā na miltā kahīñ sanam milte
kalām-e-'asar' kī arzish nahīñ zamāne meñ
kahīñ jo hotī to halke se kuchh varam milte