Masood Qureshi

sitam ka hath na roka magar bura to kaha

Masood Qureshi

sitam kā haath na rokā magar burā to kahā
jo zer-e-lab sabhī kahte the barmalā to kahā
tamām-shahr thā munkir tire ta.alluq se
ġharīb-e-shahr tujhe ham ne āshnā to kahā
pighal rahī hai taġhāful kī barf ab shāyad
ki muskurā ke mujhe yaar bevafā to kahā
vafā kā qaht hai itnā ki ab sar-e-maqtal
maiñ is pe ḳhush huuñ ki yāroñ ne marhabā to kahā
hoī na sīna-sipar go himāyat-e-haq meñ
jo misl-e-teġh thā vo harf-e-haq-numā to kahā
Top Urdushayar.com