Masood Qureshi

tulu-e-subh se kab kab zawal-e-shab se hua

Masood Qureshi

tulū-e-sub.h se kab kab zavāl-e-shab se huā
jahāñ meñ nuur faqat barq-e-nutq-o-lab se huā
judā judā the bahut nek-nām ham donoñ
malāmatoñ kā hadaf haiñ milāp jab se huā
mile ho tum to huī qadr dil ko lamhoñ kī
guzar chukī hai bahut par hisāb ab se huā
har ek chāhne vaalā banā hai ḳhusrav-e-ġham
dayār-e-ishq meñ ye inqalāb kab se huā
lahū kī dhaar ko samjhe haqīr ḳhanjar se
zavāl sāhab-e-jānāñ isī sabab se huā
kisī adā ko sitam kah diyā kisī ko karam
ye iḳhtiyār dil-e-zār tum ko kab se huā
sajī haiñ dil meñ tumhāre karam kī tasvīreñ
idhar se ġham kā guzar bhī baḌe adab se huā
Top Urdushayar.com