phir mulāqāt meñ hai ishq ke āġhāz kā rañg
vahī āvāz kī nik.hat vahī andāz kā rañg
aam alfāz meñ poshīda ma.ānī kī taheñ
har nigāh-e-ġhalat-andāz liye raaz kā rañg
sar-nigūñ haibat-e-jallād-o-shikoh-e-sultāñ
dīdanī daar pe thā ishq-e-sar-e-afrāz kā rañg
aa.e mahfil meñ to larzī haiñ charāġhoñ kī laveñ
un ke dīdār se hai shoḳh gul-e-nāz kā rañg
hāl-e-dil chhup na sakā parda-e-ḳhāmoshī meñ
tarjumāñ dil kā banā āriz-e-ġhammāz kā rañg