kis tabāhī ke ye āsār nazar aate haiñ
dasht meñ bhī dar-o-dīvār nazar aate haiñ
uTh gayā aañkh se parda ki haqīqat badlī
jitne ġham-ḳhvār the ḳhuñḳhār nazar aate haiñ
sab ke chehroñ pe hai ġham ashk haiñ āvāzoñ meñ
dost sab mujh ko adākār nazar aate haiñ
un ke sīnoñ meñ hai tūfān-e-balā āsūda
ye jo sāhil pe subuksār nazar aate haiñ
kyā haqā.eq ne mire sher kā jaama pahnā
vāqiye sab mire ash.ār nazar aate haiñ
kyā ye sab log haiñ ā.īna-e-hairat terā
sab ke ruḳh par tire anvār nazar aate haiñ
apne daftar meñ hai pindār-e-ḳhudā.ī un ko
ye jo aajiz sar-e-darbār nazar aate haiñ