Masood Qureshi

azab hum pe jo nazil hua KHuda se na tha

Masood Qureshi

azaab ham pe jo nāzil huā ḳhudā se na thā
ki tū razā se muqaddar huā qazā se na thā
ye hāl-e-zār to āshob-e-āgahī se huā
ki gul-darīda-jigar mauja-e-sabā se na thā
khañDar to shahr-e-dil andar ke zalzaloñ se huā
ye zulm terī jafā yā tirī vafā se na thā
bikhre ga.e gul-e-nāzuk havā ke jhoñke se
gilā jo thā to nazākat se thā havā se na thā
dil-o-dimāġh pe thā iḳhtiyār ham ko bhī
hayāt par ye tasarruf tirā sadā se na thā
tirī hayāt khilaunā banī muqaddar kā
sabab ye hai ki tirā rābta ḳhudā se na thā
mujhe to jo bhī milā ā.ina-ba-dast milā
maiñ jabr-e-ġhair se thā ḳhud-nigar anā se na thā
Top Urdushayar.com