har lafz aur lafz kī tafsīr ban gayā
yuuñ guftugū kā silsila zanjīr ban gayā
ab aur kyā subūt vafā-dāriyoñ kā duuñ
dekhā jo us ne ḳhvāb meñ ta.abīr ban gayā
us kī taraf se tīr-e-malāmat kā ruḳh haTe
maiñ bazm biich lā.eq-e-tāzīr ban gayā
khultā kahāñ ye raaz bhalā us hujūm meñ
lekin maiñ us ko dekh ke tasvīr ban gayā
paḌte rahe haiñ pech sadā rāh-e-ishq meñ
tadbīr ban ga.ī to vo taqdīr ban gayā