farār ḳhud se mujhe dam-ba-dam jahāñ kī tarah
muhīt mujh pe mirī zaat āsmāñ kī tarah
nigār-ḳhāna-e-dil meñ hunūt kar le mujhe
ki reg-e-vaqt pe huuñ maiñ tire nishāñ kī tarah
maiñ apne ḳhol meñ mahbūs misl-e-kirm-o-harīr
maiñ apnī qabr banātā rahā makāñ kī tarah
na tum se dard kā shikva na tum se shukr-e-karam
ki ḳhair-o-shar se ho tum māvarā zamāñ kī tarah
qadam qadam vo mire saath aur maiñ tanhā
mile haiñ dost mire mujh se āsmāñ kī tarah
agar gila hai to hai ḳhud se bevafā.ī kā
ki lahza lahza digar-gūñ huuñ maiñ jahāñ kī tarah
mire zamīr meñ āsūda vaqt ke tūfāñ
vasī.a zarf mirā bahr-e-be-karāñ kī tarah