kabhī to un kī taraf se safā.iyāñ itnī
kabhī adā-e-jafā par duhā.iyāñ itnī
ham ajnabī the to thiiñ ham meñ ḳhūbiyāñ kyā kyā
mile to niklīñ hamīñ meñ burā.iyāñ itnī
mirā ḳhayāl to ye hai ki ab se khul ke mileñ
jab ehtiyāt pe haiñ jag-hañsā.iyāñ itnī
gilā thā bahr-e-gila lekin ab to shak guzrā
huzūr pesh na karte safā.iyāñ itnī
firāq-e-ramz-e-mohabbat sahī pa milte raho
ki ajnabī hī na kar deñ judā.iyāñ itnī