dostī kī justujū hai shahr meñ
ham bhī motī DhūñDte haiñ nahr meñ
ġhaur se dekhā to har ḳhurshed chāñd
tab-e-raushan kitnī kam hai dahr meñ
jab bhī chāhā chal paḌī maazī kī film
aisī qudrat yaad kī ik lahr meñ
jānte haiñ kuchh hameñ insāñ-zada
farq insāñ aur ḳhudā ke qahr meñ
shiddat-e-ehsās thī in.ām-e-ishq
shahd ab shīrīñ na talḳhī zahr meñ
ret par the kis qadar naqsh-e-jamīl
ho ga.e sab jazb chaḌhtī lahr meñ