zamīñ ne un ko sambhālā jo āsmāñ se gire
kahāñ hai un kā sahārā jo ḳhāk-dāñ se gire
jo mutma.in haiñ bulandī pe naḳhl-e-ḳhurmā kī
us āsmān ko dekheñ kabhī jahāñ se gire
ab us ko dekh ke hī dil ko ḳhauf aatā hai
buland-bām the ham kis qadar kahāñ se gire
shikasta sañg baḌe āstāñ ke vāris haiñ
ki thā maqām-e-mua.allā ye but jahāñ se gire
jinheñ nasīb ne dī eqtidār kī masnad
unheñ hai zo.am the nā-ahl jo yahāñ se gire