Masood Qureshi

ab bhi milte hain karam bar-e-nazar hoti hai

Masood Qureshi

ab bhī milte haiñ karam bār-e-nazar hotī hai
par mulāqāt ba-andāz-e-digar hotī hai
ab na hamdard añdherā hai na shab kā parda
ab tirī ḳhair ho ai dil ki sahar hotī hai
ishq aur husn ko aapas meñ magan rahne do
varna buniyād jahāñ zer-o-zabar hotī hai
un ke jaate hī ye ho jaatī hai hālat apnī
kaan aahaT pe lage dar pe nazar hotī hai
ham jo ruḳhsat hue duniyā se to duniyā chauñkī
dil na jab dhaḌke jabhī dil kī ḳhabar hotī hai
Top Urdushayar.com