Masood Qureshi

koi bhi KHud ko badalta nazar nahin aata

Masood Qureshi

koī bhī ḳhud ko badaltā nazar nahīñ aatā
azaab aa.egā Taltā nazar nahīñ aatā
zamīñ ko rok liyā hai kashish ne sūraj kī
ye din to raat meñ Dhaltā nazar nahīñ aatā
lage hai yuuñ ki uge haiñ daraḳht patthar ke
koī bhī phūltā phaltā nazar nahīñ aatā
dhuāñ bharā hai makāñ meñ sulagte haiñ dar-o-bām
makīñ to aañkh bhī maltā nazar nahīñ aatā
bapā hai jashn masīhā-nafas kī aamad par
marīz hai ki sambhaltā nazar nahīñ aatā
ubhārte haiñ hudī-ḳhvāñ pukārtī hai jaras
magar ye qāfila chaltā nazar nahīñ aatā
gire hai barq sar-e-tūr-o-dasht-e-sīnā par
koī shajar kahīñ jaltā nazar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com