zulmat aisī ki sujhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
nuur itnā ki dikhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
ḳhāmushī kī vo ḳhalā lafz laboñ se gir jaa.eñ
shor itnā ki sunā.ī nahīñ detā kuchh bhī
ek hamdard ne phir luuT lī dil kī bastī
dil vo ḳhūgar ki duhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
bar-sar-e-rāh bhī gulzār khile haiñ kitne
dhun meñ manzil kī dikhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
dasht se daulat-e-sayyāl milī auroñ ko
ham ko juz ābla-pā.ī nahīñ detā kuchh bhī