Masood Qureshi

muskura den to koi KHair-KHabar aa jae

Masood Qureshi

muskurā deñ to koī ḳhair-ḳhabar aa jaa.e
huuñ jo barham to kaTā tasht meñ sar aa jaa.e
dosto raah meñ manzil ke nishāñ bhī dekho
chalte chalte na phir āġhāz-e-safar aa jaa.e
munfarid husn kī dushvār hai parda-dārī
sau hijāboñ meñ bhī andāz nazar aa jaa.e
raat kī baat rahe parda-e-tārīkī meñ
shaam kā bhūlā agar sub.h ko ghar aa jaa.e
itnī ma.asūm sī ḳhvāhish bhī to puurī na huī
ḳhud-baḳhud raat guzarne pe sahar aa jaa.e
Top Urdushayar.com