ḳhār-o-ḳhas faḳhr-e-chaman haiñ gul-e-ḳhandāñ kam hai
baaġh vīrāna ziyāda hai gulistāñ kam hai
har masīhā ko junūñ jashn-e-masīhā.ī kā
har nafas dard kī tash.hīr hai darmāñ kam hai
bhuul jaate haiñ ki har zaḳhm zabāñ rakhtā hai
sochte haiñ ki mirī teġh numāyāñ kam hai
rahm ai chāra-garāñ hadd-e-rafū se guzre
chaak dāmāñ hai bahut tār-e-garebāñ kam hai
saa.e qātil nazar aate haiñ sadā.eñ dushman
ḳhauf hī ḳhauf hai ḳhatrāt kā irfāñ kam hai
vo na aa.eñ to bane dard kā darmāñ duurī
zulm to ye hai na aane kā bhī imkāñ kam hai
qurb-o-dūrī to faqat vaqt kī majbūrī hai
har ghaḌī aane kā imkāñ hai ye ehsāñ kam hai