sab kī zabāñ pe zikr tirī tund-ḳhū kā thā
mere laboñ pe qufl tirī aabrū kā thā
maiñ gū-magū meñ hī tire dar se palaT gayā
āvāz dostoñ kī thī lahja adū kā thā
chāragaroñ ko fikr thī nām-o-numūd kī
go ehtimām zaḳhm-e-jigar ke rafū kā thā
maiñ bahr-e-zindagī meñ jazīra-numā rahā
duniyā se ek rabt tirī aarzū kā thā
har ḳhūb-rū se maiñ ne kiyā vāda-e-vafā
sab ā.inoñ meñ aks mire ḳhūb-rū kā thā
māhir huuñ maiñ bhī ḳhūbi-e-guftār kā magar
darpesh marhala suḳhan-e-rū-ba-rū kā thā
jo harf meñ na saut meñ iz.hār pā sakī
sab dostoñ meñ zikr usī guftugū kā thā