Shafqat Tanveer Mirza

hamare pas tha jo kuchh luTa ke baiTh rahe

Shafqat Tanveer Mirza

1932-2012
hamāre paas thā jo kuchh luTā ke baiTh rahe
dayār-e-dil meñ qayāmat uThā ke baiTh rahe
vahāñ jahāñ par añdheroñ kā kārvāñ utrā
kisī umiid pe sham.eñ jalā ke baiTh rahe
tumhāre hijr meñ jo kuchh guzar ga.ī guzrī
tumhāre vasl meñ ham ghar jalā ke baiTh rahe
kahāñ ke dār-o-rasan aur kyā shahīd-e-vafā
ye kārobār bhī kal phir uThā ke baiTh rahe
ḳhabar na thī ki zamāñ-āshkār the jo kabhī
vo parda-dār to chalan girā ke baiTh rahe
kaḌaktī dhuup meñ dasht-e-safar se ghabrā kar
fasīl-e-shahr ke saa.e meñ aa ke baiTh rahe
zamāna kuchh to kahe un se jo ba-hīla-e-dil
kisī kī bazm se ham ko uThā ke baiTh rahe
girī hai ghar kī kaḌī par kaḌī to ghar vaale
ġhubār-e-sharm meñ chehre chhupā ke baiTh rahe
vo tifl-e-maktab-e-rasm-e-vafā hamīñ to na the
jo apnī yādoñ kā mela lagā ke baiTh rahe
hai bāzgasht hī shāyad mirī fuġhāñ kā javāb
''ḳhudā'' to apnī hī qabroñ pe jā ke baiTh rahe
vo nā-ḳhudā the zamāne meñ mo'atabar jo sadā
samundaroñ meñ safīne bahā ke baiTh rahe
Top Urdushayar.com