har aas toḌ ke jab ham subuk sabā se hue
nigāh-e-yār ke andāz āshnā se hue
tirī talab meñ ajab marhaloñ se guzre haiñ
kabhī to ḳhud se kabhī bad-gumāñ ḳhudā se hue
ye zo.am thā ki hamīñ se hai un kā nām-o-nishāñ
bichhaḌ ke un se hamīñ be-nishāñ havā se hue
laboñ pe shor-e-tabassum hai dil meñ sannāTā
hue do laḳht judā ham jo āshnā se hue
kafan urūs-e-ma.ānī kā jāma-e-alfāz
ḳhayāl jān-ba-lab tañgī-e-qabā se hue