sach ke iz.hār kā sheroñ ko bahāna jaanā
bach rahe yuuñ ki zamāne ne fasāna jaanā
saḳht ma.atūb rahe aur ḳhatā itnī thī
jo ḳhudā na thā use ham ne ḳhudā na jaanā
is qadar bhī na jarī the ki ulajhte sab se
shor-e-shab-ḳhūñ ko magar bāñg-e-darā na jaanā
ab ke ilzām lagā ham pe khulī āñkhoñ kā
jo nazar aayā use us se sivā na jaanā
kam hī milte ho magar ye hai yaqīñ kā aalam
ham ne pal-bhar ko tumheñ ḳhud se judā na jaanā
maiñ vo nā-shukr ki har baar mulāqāt ke ba.ad
maiñ ne har lamha-e-furqat ko zamāna jaanā
rahm khāte haiñ haiñ mire haal pe ahl-e-duniyā
maiñ ne īmān ko duniyā meñ ḳhazāna jaanā