is baḌe shahr meñ benām-o-nishāñ maiñ hī huuñ
Dar se is shahr ke ḳhadshoñ kī zabāñ maiñ hī huuñ
maiñ huuñ us ujḌe hue baaġh meñ be-rut kī kalī
jis kī har saañs hai tauhīn-e-ḳhizāñ maiñ hī huuñ
lafz chalte haiñ mire nutq se tīroñ kī tarah
dast-e-haq meñ jo kaḌaktī hai kamāñ maiñ hī huuñ
kyā ajab mujh se jo parḳhāsh hai shab-zādoñ ko
jis se larzāñ hai dil-e-shab vo azaañ maiñ hī huuñ
tāb-kārī mire jauhar kī hai ḳhurshed-e-vafā
bā.is-e-tāb-o-tavāñ māh-vishāñ maiñ hī huuñ