Masood Qureshi

ghariq-e-jalwa kisi jalwa-gar ko kya dekhe

Masood Qureshi

ġharīq-e-jalva kisī jalva-gar ko kyā dekhe
jo terī dhun meñ chalā rahguzar ko kyā dekhe
sahar ke saath hī sar par chaḌhā pahāḌ sā din
sar-e-ḳhamīda jamāl-e-sahar ko kyā dekhe
dabe hue haiñ makīñ bār-e-sañg-e-āhan se
ġharīb-e-shahr yahāñ bām-o-dar ko kyā dekhe
musāfiroñ kī tarah manzileñ safar meñ haiñ
kidhar ko jaa.e koī rahguzar ko kyā dekhe
lagan hai sab ko siyāsat kī dhun hai daulat kī
ab is junūñ meñ koī ḳhair-o-shar ko kyā dekhe
sukhī huuñ ghar pe lagā kar ḳhulūs kī taḳhtī
ab aa.e kaun udhar mere ghar ko kyā dekhe
na.e nisāb meñ tīr-e-nazar kā baab nahīñ
so chāragar mire zaḳhm-e-jigar ko kyā dekhe
Top Urdushayar.com