Shafqat Tanveer Mirza

humne to yahi marka mara hai safar mein

Shafqat Tanveer Mirza

1932-2012
ham ne to yahī ma.arka maarā hai safar meñ
manzil kī tarah baiTh ga.e rāhguzar meñ
vo sham-e-shab-anjām kī sūrat to nahīñ thā
ik pal meñ shab-e-nisf utar aa.ī hai ghar meñ
ai nāla-e-dil-doz taḌap uTThī ḳhamoshī
hai marg-e-tamāshā kisī ābād nagar meñ
ham ḳhaak ke tuude pe khaḌe pūchh rahe haiñ
kyā lutf milā tum ko samundar ke safar meñ
ham sāya-e-dīvār-e-shikasta meñ paḌe the
DhūñDoge to pāoge hameñ sāya-e-dar meñ
ye marhala-e-qat-e-ta.alluq to kaThin thā
ik dard kā dariyā bhī hai ab dīda-e-tar meñ
ik umr ke rishtoñ ko fanā pal meñ milī hai
ham DhūñDne kyā nikle haiñ sadiyoñ ke safar meñ
tārīk-o-ḳhunuk ḳhaak kā paivand hue haiñ
ham tol ke laa.e the jinheñ la.al-o-gohar meñ
yuuñ terī tarah duur kī manzil ke musāfir
sab kuchh to nahīñ chhoḌ ke jaate kabhī ghar meñ
Top Urdushayar.com