apnī taqdīr kā shikva nahīñ likhkhā maiñ ne
ḳhud ko mahrūm-e-tamannā nahīñ likhkhā maiñ ne
ai qalam karnā mire haath kī laġhzish ko muaaf
tujh se shāhoñ kā qasīda nahīñ likhkhā maiñ ne
gir na jaa.e tire meyār se andāz-e-hurūf
yuuñ kabhī naam bhī terā nahīñ likhkhā maiñ ne
huuñ isī jurm kī pādāsh meñ pyāsā shāyad
tapte sahrāoñ ko dariyā nahīñ likhkhā maiñ ne
aaj kā ḳhat hī use bhejā hai korā lekin
aaj kā ḳhat hī adhūrā nahīñ likhkhā maiñ ne
jo na pahchān sakā vaqt kī nabzeñ 'hāmid'
us masīhā ko masīhā nahīñ likhkhā maiñ ne