ma.āl-e-dil ke liye aaj yuuñ ḳhudī tarse
ki zindagī ke liye jaise zindagī tarse
ḳhirad-ba-dosh hai tahzīb-e-nau magar phir bhī
junūñ-ba-dāmāñ tamaddun ko āgahī tarse
jo apnā ḳhūn-e-jigar pī ke mast ho jaa.eñ
ab aise zarf-parastoñ ko tishnagī tarse
hai ab bhī silsila-e-dostī jahāñ meñ magar
vafā-shanās mohabbat ko dostī tarse
maqām-e-zabt ġham-e-ishq meñ vo paidā kar
ki tū ḳhushī ko na tarse tujhe ḳhushī tarse
rah-e-vafā meñ mujhe kaash aisī maut mile
ki bād-e-marg mujhe merī zindagī tarse
jahāñ meñ ahl-e-suḳhan kam nahīñ magar 'hāmid'
taḳhayyulāt-e-haqīqat ko shā.irī tarse