Hamid Mukhtar Hamid

tapte sahraon ki saughat liye baiTha hai

Hamid Mukhtar Hamid

tapte sahrāoñ kī sauġhāt liye baiThā hai
pyāsī āñkhoñ meñ vo barsāt liye baiThā hai
chand masle hue safhāt liye baiThā hai
ghar kā būḌhā jo rivāyāt liye baiThā hai
umr hī terī guzar jā.egī un ke hal meñ
terā bachcha jo savālāt liye baiThā hai
zulf-e-shab-rañg pe rañgīn kashīda āñchal
vo koī tāroñ bharī raat liye baiThā hai
tū bahādur hai magar hech hai us ke aage
ek buzdil jo tirī baat liye baiThā hai
kaise kah duuñ ki use jiine kā haq hai 'hāmid'
dil meñ jo lāsha-e-jazbāt liye baiThā hai
Top Urdushayar.com