mujh se ye pyaas kā sahrā nahīñ dekhā jaatā
roz ab ḳhvāb meñ dariyā nahīñ dekhā jaatā
zarf kā aks kahīñ aur hī chal kar dekheñ
ā.īnoñ meñ to ye chehra nahīñ dekhā jaatā
tū hañsī le ke mirī aañkh ko aañsū de de
mujh se sūkhā huā dariyā nahīñ dekhā jaatā
dil ke aurāq kī tahrīr paḌhī jaatī hai
un ke darbār meñ sajda nahīñ dekhā jaatā
pursish-e-ġham kī sabhī rasm haiñ baaqī lekin
in charāġhoñ meñ ujālā nahīñ dekhā jaatā
ahmiyat johd-e-musalsal kī nahīñ kam 'hāmid'
sirf taqdīr kā likhkhā nahīñ dekhā jaatā