Shafqat Tanveer Mirza

rangon lafzon aawazon se sare rishte TuT gae

Shafqat Tanveer Mirza

1932-2012
rañgoñ lafzoñ āvāzoñ se saare rishte TuuT ga.e
sail-e-balā meñ dasht-e-ḳhalā ke kitne kināre TuuT ga.e
gūñge bahre logoñ se ab saarī umr nibāhnā hai
jiinā marnā ek barābar kachche dhāge TuuT ga.e
dil ke gird hisār khiñchā to us kā milnā muhāl huā
chāroñ khūñT āvāra phire jab paañv bhī apne TuuT ga.e
khañDar khañDar sab āvāzoñ se guuñj paḌeñge bolo to
ek sadā vo thī jis se mahloñ ke kañgare TuuT ga.e
shīsha-o-sañg ke khel ke saa.e meñ rahne vaale logo
ik ik kar ke dil meñ chubho lo jo jo shīshe TuuT ga.e
shor-sharāba ḳhūn-ḳharāba jo bhī ho kuchh kam bhī nahīñ
shahr-panāh ke āhanī bojhal sab darvāze TuuT ga.e
chup ke bandhan TūTeñge to paañv meñ lohā bolegā
phir dekhoge saañs ke saare rishte-nāte TuuT ga.e
Top Urdushayar.com