ġhubār-e-rāh ke mānind rahguzār meñ haiñ
hamārā kyā hai bhalā ham bhī kis shumār meñ haiñ
agar vo ġhair ke hāthoñ meñ khelte haiñ to kyā
ham apne aap bhī kab apne iḳhtiyār meñ haiñ
hamārā ālam-e-hasrat bhī hai ajiib ki ham
guzar ga.e haiñ jo din un ke intizār meñ haiñ
zamāna apnī hadoñ se nikal ke phail gayā
aur ek ham ki abhī apne hī hisār meñ haiñ
ye apnā shahr añdheroñ kā shahr hai shāyad
baḌe azaab yahāñ raushnī se pyaar meñ haiñ
vo jān-e-bazm gayā raunaqeñ tamām huiiñ
ye log kis liye baiThe haiñ kis ḳhumār meñ haiñ
ajab fazā.eñ haiñ 'nik.hat' khulā na kuchh ham par
ye apnā ghar hai ki maidān-e-kār-zār meñ haiñ