Shafqat Tanveer Mirza

hum KHarabe mein basar kar gae KHamoshi se

Shafqat Tanveer Mirza

1932-2012
ham ḳharābe meñ basar kar ga.e ḳhāmoshī se
halqa-e-mauj meñ gauhar ga.e ḳhāmoshī se
sā.at-e-vasl qayāmat kī ghaḌī Thahrī thī
jism ḳhāmosh the dil Dar ga.e ḳhāmoshī se
āzmā.ish thī kaḌī kū-e-vafā meñ ki jahāñ
kaj-kulah aa.e subuk-sar ga.e ḳhāmoshī se
ham tire hijr meñ āvāra-suḳhan ho nikle
zaḳhm jo tū ne diye bhar ga.e ḳhāmoshī se
shikva-sanj-e-ġham-e-manzil the faqat ham varna
kārvāñ kitne safar kar ga.e ḳhāmoshī se
kū-e-mahbūb kī sham.oñ ko ḳhabar hai ki nahīñ
saa.e kis samt barābar ga.e ḳhāmoshī se
dukh ke sannāTe meñ yaad ā.eñge tujh ko ham se
jo tire dar pe sadā kar ga.e ḳhāmoshī se
jaane zindāñ ke dar-o-bām kā andāz hai kyā
na.ara-zan aa.e jo akasr ga.e ḳhāmoshī se
kuchh to thī lauh-e-azal bā.is-e-barbādī-e-dil
vaar ahbāb bhī kuchh kar ga.e ḳhāmoshī se
koī mun.im na milā dil kā ġhanī yā qismat
dar-ba-dar tere gadāgar ga.e ḳhāmoshī se
Top Urdushayar.com