rah-e-vafā ke har ik pech-o-ḳham ko jaan liyā
junūñ meñ dasht o bayābāñ tamām chhān liyā
har ik maqām se ham surḳh-rū guzar aa.e
qadam qadam pe mohabbat ne imtihān liyā
girāñ huī thī ġham-e-zindagī kī dhuup magar
kisī kī yaad ne ik shāmiyāna taan liyā
tumhīñ ko chāhā bahar-hāl aur tumhāre sivā
zamīn māñgī kisī se na āsmān liyā
ba-ehtiyāt chale rāh-e-zindagī phir bhī
jagah jagah hameñ gard-e-safar ne aan liyā
vo but bhī dushman-e-īmān-o-āgahī thā magar
use jo dekhā to ham ne ḳhudā ko maan liyā