Nikhat Barelvi

ai mauj-e-saba soz-e-mujassam use kahna

Nikhat Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1935
ai mauj-e-sabā soz-e-mujassam use kahnā
mumkin hai vo pūchhe mirā aalam use kahnā
chāhā mire hālāt ne paiham use kahnā
lekin na huī pyaar kī lau kam use kahnā
ik ham hī nahīñ shākī-e-ālam use kahnā
ab ahl-e-tarab ko bhī hai ye ġham use kahnā
shāyad kabhī paḌ jaa.e kisī taur zarūrat
milte haiñ sar-e-rāhguzar ham use kahnā
tū kis liye nārāz huā ahl-e-vafā se
duniyā to hamesha se hai barham use kahnā
kahnā to bahut kuchh hai magar maslahat-e-vaqt
be-āb se haiñ sho.ala-o-shabnam use kahnā
maanā ki mire dam se nahīñ bazm kī raunaq
phir bhī to ġhanīmat hai mirā dam use kahnā
Top Urdushayar.com