ab us kī yaad satāne ko baar baar aa.e
vo zindagī jo tire shahr meñ guzār aa.e
ye bebasī bhī nahīñ lutf-e-iḳhtiyār se kam
ḳhudā kare na kabhī dil pe iḳhtiyār aa.e
qadam qadam pe gulistāñ khile the raste meñ
ajiib log haiñ ham bhī ki sū-e-dār aa.e
na chahchahe na surūd-e-shaguftagī na mahak
kise ab aisī bahāroñ pe e'tibār aa.e
junūñ ko ab ke garebāñ se kyā milegā ki ham
ba-faiz-e-mausam-e-gul pairahan utaar aa.e
tirī lagan ne zamāne kī ḳhaak chhanvā.ī
tirī talab meñ tamām ārzueñ haar aa.e
ye faḳhr kam to nahīñ kū-e-yār meñ 'nik.hat'
na sharmsār ga.e the na sharmsār aa.e