Nikhat Barelvi

samundar pur-sukun hai dil ka tughyani nahin koi

Nikhat Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1935
samundar pur-sukūñ hai dil kā tuġhyānī nahīñ koī
havā pur-shor hai lekin pareshānī nahīñ koī
ta.ajjub hai to bas apnī vafādārī ke jazbe par
hameñ us ke badal jaane pe hairānī nahīñ koī
tasalsul ḳhvāb-e-ḳhush-āsār kā yuuñ TuuT jaane par
ta.assuf hai magar ai dil pashīmānī nahīñ koī
ham apne aap hī ke dar pa.e āzār rahte haiñ
hamārā ham se baḌh kar dushman-e-jānī nahīñ koī
idhar aane se pahle hī hameñ mālūm thā 'nik.hat'
ye vo rasta hai jis raste meñ āsānī nahīñ koī
Top Urdushayar.com