Nikhat Barelvi

ab ahl-e-dil hain ki nayab hote jate hain

Nikhat Barelvi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1935
ab ahl-e-dil haiñ ki nāyāb hote jaate haiñ
ġhubār-e-ḳhātir-e-ahbāb hote jaate haiñ
tumhāre aane se kuchh iztirāb kam hotā
ye kyā ki aur bhī betāb hote jaate haiñ
sukūñ-ma.āb samajhte the jin kināroñ ko
simaT ke halqa-e-girdāb hote jaate haiñ
hameñ bhī raat ko din kahnā aatā jaatā hai
ki ham bhī hāmil-e-ādāb hote jaate haiñ
hameñ mile na mile zindagī magar 'nik.hat'
sunā hai ziist ke asbāb hote jaate haiñ
Top Urdushayar.com