kaam itnā mere pyāre charḳh-e-kuhan se nikle
tum se na huuñ judā maiñ jab jaan tan se nikle
tum hālat-e-naza.a meñ bhī paas mere rahnā
tā kalima-e-mohammad mere dahan se nikle
yārab na tā-qayāmat muhtāj huuñ kisī kā
jo ho mirī tamannā vo panj-tan se nikle
vahshat na qabr meñ ho tum sāmne hī rahnā
dast-e-junūñ na merā bāhar kafan se nikle
hai lutf zindagī kā ba.ad-az-fanā usī meñ
nām-e-ḳhudā jo apne sab tan-badan se nikle
roza namāz tasbīh pahuñchā.eñge na vaañ tak
hogā visāl usī ko jo mā-o-man se nikle
apnī ḳhabar na baaqī rah jā.egī kisī ko
parde se gar kahīñ vo ik bāñkpan se nikle
yād-e-qad-e-sanam meñ maiñ duuñ misāl us vaqt
jab kaam koī merā sarv-e-chaman se nikle
'mardāñ' jo koī Duube dariyā-e-ishq meñ vo
chhoTe ḳhudī se apne hubb-e-vatan se nikle