jo ye jism sar-tā-qadam dekhte haiñ
''tumheñ tum ko ham ai sanam dekhte haiñ
ye sab aap hī kī hai guft-o-shunīd
jo gosh-o-zabān-o-qalam dekhte haiñ
aur aapī kā hai sab ye jalva miyāñ
jo pesh-e-nazar dam-ba-dam dekhte haiñ
jo haiñ mahv-e-dīdār ham is qadar
ye aapī kā lutf-o-karam dekhte haiñ
piyā jab se jām-e-sharāb-e-tahūra
tabhī se to dam haiñ adam dekhte haiñ
tan-o-jān-o-dil jumla-harkāt meñ
shah-e-qul-ho-allāh ko ham dekhte haiñ
tumheñ ho 'safī' shāh-e-mardāñ kī diid
na ham besh dekheñ na kam dekhte haiñ