shaq āfiyat-kanār kināre ko kar ga.ī
dariyā kī mauj sar ko paTak kar guzar ga.ī
tohmat kā sail sub.h ko uThne lagā ki shab
dastak thī ek dar pe sadā dar-ba-dar ga.ī
ġhārat-gar-e-sukūñ thiiñ navā-hā-e-ḳhūn-e-balb
jañgal kī shaam shahr meñ aa.ī to Dar ga.ī
rotā phiregā raat ke rastoñ pe māhtāb
āġhosh-e-arz-ḳhāk to sūraj se bhar ga.ī
ārām-e-jāñ thā ḳhvāb-e-sukūñ aañkh jab khulī
sail-e-fanā utar gayā miTTī bikhar ga.ī
nā-karda kāriyoñ kī pashemāniyāñ na pūchh
umr-e-azīz DhūñDte phiriye kidhar ga.ī
tere huzūr kaun sā nazrāna thā qubūl
dil sā guhar bhī le ke mirī chashm-e-tar ga.ī
dīvār-o-dar pe jin ke lahū boltā rahā
mauj-e-fanā vo saare makāñ Dher kar ga.ī
ḳhushbū-e-marg kā na Thikāna milā koī
maiñ bhī ġhubār-e-rāh rahā vo jidhar ga.ī
ab gosh-bar-sadā hue ham dosto to kyā
āvāz duur kī thī samā.at-safar ga.ī