laakh dekhūñ tujhe phirtī nahīñ niyyat merī
dil hai qaabū meñ mirā ab na tabī.at merī
aa ke pahlū meñ mire baiTh maiñ ho jā.ūñ nisār
hai tamannā to yahī hai yahī hasrat merī
dam-e-āḳhir tū mire paas bhalā aa be-dard
terī furqat meñ koī dam meñ hai ruḳhsat merī
qabr par merī agar fātiha paḌhne ke liye
vo jo aa jaa.eñ to tharrā uThe turbat merī
tum ko dekhā karūñ har vaqt sarāpā huuñ fanā
kartī rah rah ke taqāzā hai ye hālat merī
zinda dargor huuñ lekin mujhe zinda na samajh
ek muddat jo yahī rah ga.ī hālat merī
kushta-e-nāz huuñ jin kā hai unhīñ kā kaunain
sarvat-e-jam se uThegī vo hai mayyat merī
ba.ad-e-murdan bhī maiñ bīmār-e-mohabbat hī rahūñ
tā-qayāmat na ho yārab kabhī sehat merī
hech duniyā hai zar-o-māl hai sab hech magar
ik mohabbat tirī 'mardāñ' hai ye daulat merī