Mardan Safi

tu hi hai meri ye bud-o-baqa tu aur nahin main aur nahin

Mardan Safi

tū hī hai mirī ye būd-o-baqā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
dekhā jo apne ko tū hī milā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
tū hī adam kā thā parda-nashīñ mire dil ke makāñ kā hai tū hī makīñ
mirī hastī hai sab ye zuhūr tirā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
mire hosh-rubā ne hai fazl kiyā mujhe rāz-e-ḳhudā.ī apnā diyā
mirī ruuh meñ ruuh milā ke kahā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
kahtā hai ye mujh se merā sanam ki haiñ ek hī ye donoñ hudūs-o-qidam
kuchh farq nahīñ is meñ hai zarā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
'mardān-safī' mirā māh-e-laqā hai merī hī shakl meñ jalva-numā
mujh se ye kahtā hai kah de khulā tū aur nahīñ maiñ aur nahīñ
Top Urdushayar.com