na gul se kaam hai ham ko na kuchh gulzār se matlab
ba-jāñ rakhte haiñ ik hamdam badal ik yaar se matlab
na kaam aalam se hai ham ko na hūr-ul-ain-e-jannat se
hai ik mad.hosh dānā-tar ba-dil-hoshiyār se matlab
na millat hai na maz.hab hai na hai matlab koī apnā
visāl-e-yār maz.hab hai aur hai dīdār se matlab
tasavvur hai na kaam apnā sivā murshid kī nisbat ke
tujhe hai in dinoñ ai dil shah-e-karrār se matlab
kahā makrū-o-makrullāh ḳhair-ul-mākrīñ jis ne
chhupā ḳhud mujh ko zāhir kar hai us makkār se matlab
maiñ vo vāsil huuñ dilbar se ki dil apnā hai vo dilbar
rahā dil hī se kaam apnā usī ġham-ḳhvār se matlab
na ham ye haiñ na ham vo haiñ na ham hargiz haiñ goshe meñ
ġhulām-e-qul-ho-allāh haiñ isī iz.hār se matlab
na kāfir haiñ na momin haiñ na masjid hai na mai-ḳhāna
na tasbīh-o-musallā hai na hai zunnār se matlab
na ham aadam na havvā haiñ na ham hūr-o-malak yaaro
na ham ganjīna pinhāñ haiñ na hai iz.hār se matlab
zavāl-e-jān-o-tan hai yaañ na hirs-o-mā-o-man baaqī
habāb-e-āb-e-dariyā haiñ na hai iftār se matlab
nasab ho yā hasab donoñ mubārak hoveñ zāhid ko
tujhe to hai faqat 'mardāñ' shah-e-abrār se matlab