mirī sūrat meñ mirā yaar hai allāh allāh
mire dil meñ mirā dildār hai allāh allāh
kyā hī tasvīr banī hai ye ahā hā hā hā
is meñ aapī vo numūdār hai allāh allāh
shakl-e-ādam ke sivā aur na bhāyā naqsha
saare aalam meñ ye iz.hār hai allāh allāh
merā jism aur mirī jaañ hai vahī jaañ bilkul
maiñ kahūñ kyā ki maiñ huuñ yaar hai allāh allāh
mastī-e-har-do-jahāñ hai dil-e-ādam se ayaañ
yahī behosh to hoshyār hai allāh allāh
jis ko nisbat ho payambar kī vahī ho āgāh
merī bātoñ meñ jo asrār hai allāh allāh
ḳhāka murshid kā havā meñ to huā yaar ayaañ
ye ajab faiz kā darbār hai allāh allāh
qissa qarnoñ meñ na tai hotā vo dam-bhar meñ huā
fazl murshid kā ye iz.hār hai allāh allāh
shah-e-'mardāñ' na koī aur na ḳhādim na safī
shakl-e-ahmad kā ye iz.hār hai allāh allāh