ai rashk-e-qamar aage tire shams-o-qamar kyā
sau jaañ se fidā huuñ maiñ ye hai jān-o-jigar kyā
ik aan meñ dete ho jilā ishq ke maare
in bātoñ se thī īsī-e-mariyam ko ḳhabar kyā
ġhairat meñ mohabbat meñ muravvat meñ tirā misl
paayā nahīñ ham ne kahīñ aur hogā bashar kyā
din bhar hai tasavvur hai magar baat ko ronā
karte haiñ miyāñ dekhiye ye dīda-e-tar kyā
ham tum haiñ dil-o-jāñ se agar ek hī 'mardāñ'
kahne ko haiñ vo ek haiñ ham do haiñ magar kyā