Rauf Sadiq

KHizan ke be-kaif manzaron ka ba-rang-e-KHushbu jawab rakhna

Rauf Sadiq

Maharashtra, India

1953
ḳhizāñ ke be-kaif manzaroñ kā ba-rañg-e-ḳhushbū javāb rakhnā
kisī kī yaad kā apne dil meñ koī mahaktā gulāb rakhnā
tum apne kirdār aur amal ko banā ke ā.īna-e-talaffuz
hasīn lafzoñ kī sūratoñ meñ shanāḳhtoñ kī kitāb rakhnā
udaas chehra hai shām-e-ġham kā dhuāñ dhuāñ shab utar rahī hai
abhī se koī sahar kā manzar nazar meñ apnī janāb rakhnā
bhulā na de ye zamāna tum ko qadīm qabl-e-masīh kah kar
ki zindagī kī kahāniyoñ meñ koī haqīqat kā baab rakhnā
inād-o-nfrat kā zahr koī basāratoñ meñ kabhī na ghole
hamesha āñkhoñ ke mai-kade meñ mohabbatoñ kī sharāb rakhnā
bachī-khuchī nekiyoñ ko tum bhī uThā ke dariyā meñ Daal denā
kisī bhī sāleh amal kā apne kabhī na koī hisāb rakhnā
sahar kī dhundlī sī raushnī meñ tamām din kī basīrateñ huuñ
shu.ūr bedār karne vaale hamārī āñkhoñ meñ ḳhvāb rakhnā
Top Urdushayar.com