Shafqat Tanveer Mirza

qurbat-e-husn mein bhi dard ke aasar mile

Shafqat Tanveer Mirza

1932-2012
qurbat-e-husn meñ bhī dard ke āsār mile
chāra-gar ishq ke marham ke talabgār mile
dast-o-pā apne to vābasta-e-zanjīr sahī
ik tamannā thī koī sāhab-o-muḳhtār mile
haañ junūñ-ḳhezī-e-dil rehn-e-masarrat na huī
ḳhush huī vahshat-e-ġham jab rasan-o-dār mile
ḳhaak uḌā.eñ ki na.e shahr basā.eñ yaaro
ham ba-har-rañg har ik shauq se bezār mile
ham haiñ is kār-gah-e-shīsha-garāñ meñ hairāñ
aa.ine tāb-e-nazāra ke talabgār mile
shauq-e-be-minnat-e-ehsān-e-digar kyā kahiye
ḳhud se is shauq meñ ham bar-sar-e-paikār mile
dasht-e-majnūñ thā koī tesha-farhād koī
ishrat-e-marg sahī hīla-e-be-kār mile
ḳhvāhish-e-marg dar-e-yār-e-tamannā hī sahī
sar magar dosh pe ham ko bhī girāñ-bār mile
shab qayāmat sī guzar jaatī hai tanhā.ī meñ
baḳht-yāvar hai jise dīda-e-bedār mile
apne ham-sā.e meñ vo hai jise dekhā bhī nahīñ
aise ham-sā.e ki dīvār se dīvār mile
Top Urdushayar.com