Rauf Sadiq

lafz koi zaban se nikla

Rauf Sadiq

Maharashtra, India

1953
lafz koī zabān se niklā
tiir jaise kamān se niklā
Dhalte sūraj ko dekh kar saaya
mere TuuTe makān se niklā
jab bhī manzil mujhe nazar aa.ī
maiñ safar kī takān se niklā
shām-e-rañgīñ kā gum-shuda sūraj
sub.h ke sā.ebān se niklā
aadmī kā yaqīn kyā kiije
ab ḳhudā bhī gumān se niklā
ghar meñ faaqa thā jis jis ke chehre par
ghar se niklā to shaan se niklā
ḳhud ko show-case meñ sajā kar maiñ
ḳhvāhishoñ kī dukān se niklā
Top Urdushayar.com