maiñ ki ḳhud apne hī andar huā TukḌe TukḌe
ya.anī kuuḌe meñ samundar huā TukḌe TukḌe
is imārat kā muqaddar huā TukḌe TukḌe
jis kī buniyād meñ patthar huā TukḌe TukḌe
koī laġhzish kisī lamhe se huī thī shāyad
gardish-e-vaqt kā mehvar huā TukḌe TukḌe
chaḌhte sūraj kī utarte hī kiran āñkhoñ meñ
mere har ḳhvāb kā manzar huā TukḌe TukḌe
jism meñ phail gayā kāñch ke rezoñ kī tarah
kaun ehsās ke andar huā TukḌe TukḌe
yaad itnā hai gale mujh se milā thā koī
phir mirī pusht meñ ḳhanjar huā TukḌe TukḌe
vaqt kī dhaar pe lamhoñ ke sipāhī kī tarah
merī har saañs kā lashkar huā TukḌe TukḌe