dāstāñ bhī muḳhtalif lahja bhī yāroñ se judā
pāñchvāñ darvesh to hai pahle chāroñ se judā
zahr nā-puḳhta mizājoñ meñ bharā karte haiñ ye
aap rahiyegā zarā in hoshyāroñ se judā
shor barpā ho gayā har gosha-e-gulzār meñ
jab ubhar aayā nayā manzar bahāroñ se judā
chaaT jaatī hirs kī dīmak faqīroñ ke bhī tan
sīrateñ un kī thiiñ lekin shahryāroñ se judā
bas ġham-e-jānāñ nahīñ lekin ġham-e-duniyā to hai
aap kaise ho ga.e phir dil-figāroñ se judā
'nāsir' o 'bānī' sā tujh ko bhī sarāhā jā.egā
jab tirā rañg-e-suḳhan hogā hazāroñ se judā